Receive LOVE in your mailbox

Try our weekly newsletter with amazing tips to bring and retain love in your life

14 Times Javed Akhtar Taught Us So Much About The Enigma That Is Life

Poets in today’s world are no longer a household name. Emphatically not anymore in the West! In India there are only some poets who are adored by the masses, and their work is not only talked about but also recited from memory in everyday tête-à-têtes. Javed Akhtar would definitely qualify as one such personality! Apart from being a conferred Bollywood script and song writer, Javed Akhtar is also cherished for his poems and ghazals in Urdu and Hindi. People seek refuge in his shayaris from time to time, to soothe their hearts and souls!

Javed Akhtar_New_Love_Times

Image source: eastcoastdaily

So let’s have a mushaira of our own and revel in 14 of Javed Akhtar’s most poignant couplets. ☺

Arz kiya hai…

Gin gin ke sikke, hath mera qurdura hua

Jati rahi who lams ki narmi, bura hua!


Sab ka khushi se faasla ek kadam hain

Har ghar mein bas ek karam kam hain..


Yaad use bhi ek adhura afsana toh hoga,

Kal raaste mein usne humko pehchana toh hoga,

Dar humko bhi lagta hai raaste ke sannate se,

Lekin ek safar par aye dil ab jaana toh hoga,

Kuchh baaton ke matlab hain aur kuchh matlab ki baatein,

Jo yeh fark samajh lega woh deewana toh hoga,

Dil ki baatein nahi hain toh dilchasp hi kuchh baatein ho,

Zinda rehna hai toh dil ko behlana toh hoga…


Phir khamoshi ne saaz chheda hai,

Phir khayalat ne lee angdayi,

Kisliye mehfil sajayee jaaye,

Pursukoon ho gayi hai tanhayi,

Ek se ek ghatna huyi lekin,

Na gayi tere gham ki yatnayi,

Koi shikwa na gham na koi yaad,

Baithe baithe bas aankh bhar aayi…


Un charagon mein tel hi kam tha

Kyun gila phir hume hawa se rahe..


Yeh jo gehre sannate hain

Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda gham hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai…


Suggested read: 15 of the best love poems of all time that will melt your heart


Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho..

Toh zinda ho tum!
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho..
Toh zinda ho tum!


Sirf main hoon

Meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne hone par mujhko yaqeen aa gaya…


Ab agar aao toh jaane ke liye mat aana

Sirf ehsaan jatane ke liye mat aana

Maine palko pein tamanayein saaja rakhi hain

Dil mein umeed ki sou shamayein jala rakhi hain

Yeh haseen shamayein bujhane ke liye mat aana…


Kabhi yun bhi toh ho

Dariya ka sahil ho, poore chand ki raat ho

Aur tum aao

Kabhi yun bhi toh ho

Tanhai ho, dil ho, boondein ho, barsaat ho

Aur tum aao..


Dard apnata hai paraaye kaun
Kaun sunta hai aur sunaaye kaun
Woh jo apne hain, kya vo apne hain
Kaun dukh jhele, aazmaaye kaun
Aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas
Dekhiye aaj yaad aaye kaun…


Raat sar par hai aur safar baki

Humko chalna zara savere tha…


Main bhool jaaon ab yehi munasib hai…

Magar bhulana bhi chahoon toh kis tarah bhulaaon…

K tum toh phir bhi haqeeqat ho, koi khwaab nahi…


Do kinaaron ka kahin sangam nahi hota

Agar’chay do kinaaron ka kahin sangam nahi hota,

Magar ek saath chalna bhi toh koi kam nahi hota

Wo aankhein ek lutaa ghar hain, jahan aansoo nahi rehte,

Wo dil pathar hai, jis dil mein kisi ka gham nahi hota…


Wah! Wah! Just can’t get enough can you?! Well, I can’t and so here’s a windfall just as a signing off note. Enjoy!

javed akhtar

Image source: shayaripapers

Yeh thoda sa ret ka hai beech dariya

Yeh beh jaayega yeh sahil nahi hai..

Bahut aasaan hai pehchaan iski,

Agar dukhta nahi toh dil nahi hai…

<3

Featured image source: shayaripapers

Summary
Article Name
14 Times Javed Akhtar Taught Us So Much About The Enigma That Is Life
Author
Description
Because if ever a man penned life, Javed Akhtar he'd be...
Riya Roy

Riya Roy

“If my doctor told me I had only six minutes to live, I wouldn't brood. I'd type a little faster.” This Isaac Asimov line, embraces my love for writing in the finest and most desperate way that it is and should be! I was tormented by the earnestness of the written word not very early in my journey. But once smitten, it has helped me devour life twice over; savoring the moment and indulging in its memories. As a flâneuse, I wander to understand the intricacies of human relationships. Realizing that, they are just different manifestations of the same feeling of love, has been my greatest learning. I seek to share its opulence through the words I type.